Dil apne aap dhadakta hai, dhadkaya nahi jaata,
Ye raaz-E-mohabbat har ek ko bataya nahi jaata,
Agar ehsaas ho to, mohabbat ko kar lo mehsoos,
Ye wo jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jaata,
Dosti ke liye mohabbat or khuloos hai lazim,
Har haath milane wale ko dost samjha nahi jaata,
Bahut kam hai log jo dil mein utar jaate hai,
Har rah chalte ko apna banaya nahi jaata,
Koshish se badal jaati hai TaQdeerein,
Dekar ilzaam kismat ko or dil ko behlaya nahi jaata



